jagdish Tibari Star
Joined: 16 Nov 2005 Posts: 635 Location: London, U.K
|
Posted: Thu Dec 22, 2011 3:20 pm Post subject: Bhaarat me Paanch Naath |
|
|
Bhaarat me Paanch Naath
Bhaarat ke chaar kone par chaar naath virajte hai. Uttar me Shri Badrinath, Dakshin me Shri Rangnath, Purva me Shri Jaggannath aur Paschim me Shri Dwarkanath. In chaaro ke beech me Shri Govardhannath virajte hai. Iss prakar pavitra Bhaarat varsh me paanch naath hai. Ye dukhiyo ke dukho ka naash karne vaale hai. Inke darshan karne se Nar Narayan ho jaata hai, arthart usme divya daivi sanskar aur Bhagvad-bhaav jaagrat ho jaata hai.
Chaaro dishao me virajman chaar naatho ke darshan karke, yadi manushya Shri Devdaman Govardhannath ke darshan na kare to uski chaaro dhaamo ki yatra nishfal ho jaati hai. Chaaro dhaamo ki yatra karne vaala bhakt jab Shri Govardhan Giriraj par virajman Devdaman Shri Govardhannath ke darshan karta hai, tab uski chaaro dham ki yatra safal hoti hai. _________________ Best Wishes
Jagdish |
|